Valentine day kyo manate hai? Sari Jankari 2019

Valentine day kyo manate hai? Sari Jankari:- Dosto, ek baar phir se aap sabhi ka swagat hai. Hamare iss blog surf xtra tech me. Jaisa ki aaplo samjh gye hi honge ki aaj kis topic pe baat karne walle hai. To chaliye jaan lete hai. Ki valentine day kyo manate hai?. Iski sari Jankari .

Valentine day kyo manate hai. Sari Jankari!


Dosto valentine days  festival ka naam  valentine namk vykati ke naam par  rakha gya hain. Ye festival jo hai apako pyar (love ) se judi hui hain. Iss din log pyar bhari baate karte hai. Apne lover ko kahi ghumate hain. Unko kuch gift bhi dete hai.

To aap soch rahe honge ki  valentine days ki suruvaat pyar bhari kahaniyo se hi hoi hogi. Lekin dosto ye bilkul sach nahi hai. Isske piche ka sach kya chaliye niche ke paragraph me jaan lete hain.

Ye kahani ek doost raja aur kirpalu sant valentine ke bich Hui muthbhed ki wajh hain. Is din ki suruwaat Rome ki tisari sadi se jaha ek Atayachari raja hua karta tha. Jiska naam Claudius tha.



Valentine day kyo manate hai. Sari Jankari ,secret life dose
Valentine day kyo manate hai. Sari Jankari ,secret life dose

Rome ke raja ka ye manna tha ki ek akela sipaahi ek saadi sudaa sipahi ke mukable jang ya ladai ke liye uchit aur prabhavshaali sipahi ban skta hain. Kyoki saadi suda sipaahi har samay apne pariwar ke bare me sochne lagta hai ki mere mar jaane ke baad mere pariwar ka kya hoga.

Aur insari baato ke karna wo sipahi  ladai me apne pura dhayan nahi laga pata  hain.

Yahi soch kar Claudius raja ne ailan kiya ki uske rajay ka koi bhi sipahi saadi nahi karega. Aur jis kisi ne aisa  karne ki jarurat ki , to use kadi se kadi saja di jaegi.

Bas kya tha raja ke iss baato se sare sipahi naraj the. Ye bhi pata tha ki ye faisala bilkul galt tha. Lekin raja ki dar se koi sipahi ne bolne ki jarurat nahi ki thi

Tabhi sant valentine ne iss faisle ko galat mante hue , wo sare sipahiyo ki saadi kara di . aur aise karke bahut sare siphai ne apne lovers ke sath saadi kar li , aur ye sadi Gupt rup se ki jaati thi, taki raja ko pata na chale.

Lekin sachai koi vastu nhi jisse aap bandh ke rakh lenge . ek di Raja ko sachai ki pata chal hi gayi. Phir raja ne sant valentine ko maut ki saja suna di . aur unko karagah( jel ) me band kar diya gya. Aur bechare sant valentine ne apne maut ki din/ tarikh ko ginna suru kar diya.

Kuch din baad sunne ko ye mila ki Rome ke log  bolo rahe the ki sant valentine ke pass koi sakti thi. Bas yahi baat ko leke ek Jailor ne sant valentine ke pass apne beti ki aankho ko thik karne ki aagrah ki .

Aur sant valentine ek bahut hi achhe dil ke insan the unhone jailor(asterius) ki beti  ki andhi aankho ko thik kar diya.

Phir kya hua ……………..! us din ke baad jailor ki beti aur valentine me dosti hogai. Aur ye dosti dhire dhire se pyar me badalne lagi. Aur badal bhi gai.

Ye kahani pyar me badlne lagi hi thik ki , jailor ki beti ko sant valentine ki maut ki khabar sun kar jhatka laga aur , aur gahre sadme me chali gai thi.

Aur kuch din baad sant valentine ki maut ki ghanti baj gai aur unko faasi par latka diya gya. Aur jis din sant valentine ko faashi di gai thi. Us din ki tarikh 14 february ka tha.

Aur sant valentine ne apne maut ke pehle jailor ki beti yaani ki apni premika ke liye ek Alvida patr likha tha jisme “Tuhara valentine” likha gya tha.  

To dosto issi Liye 14 February ke din log valentine day manate hain. Aur apne sathi, sambandhiyo, lover ke Sath 14 February ko valentine day celebrate Karte Hai.issi liye hamne issme apko iss topic me valentine day kyo mante hai ? iske baare me batane ki kosis ki hain.

Ab asha hai ki aap sabhi ko ye Valentine day kyo manate hai. Jaisi Sari Jankari  aap sabhi ko iss article ke andar mil gayi hogi .

To dosto hame comment kar jarur bate de ki ye post kaisa laga hai. taki mai aap sabhi logo ke liye aisa hi rocha Jankari hamesa lata rahu.



Aur valentine day ke subh avsar par apne Whatsapp aur facebook Jaise social media par, apne relatives, apne pyare dosto aur Apne girlfriends ke Sath boyfriends ko bhi share kare. taki unko bhi pata chale ki akhir valentine day Kyo manate hai

Post a Comment

أحدث أقدم