Hellow dosto, ek baar phir se surf xtra tech me swagat hai. Jaisa ki aap sabhi jante hai ki isblog ke madhyam se aap sabhi logo ke liye technology se related sabhi prakar ke content lata rahhta hu. Usi tarha aaj mai aap sabhi ki liye ek topic laya hu jiska naam hai Cryptocurrency...
Ab Baat aati hai ki Cryptocurrency kya hai? Iski puri jankari to chaliye phir dekhte hai ki Cryptocurrnecy kya hai? Cryptocurrency ke Fayde Aur Loss in hindi.
Cryptocurrnecy kya hai? Cryptocurrency ke Fayde Aur Loss in hindi - surf xtra tech,Cryptocurrency ke fayde,,Cryptocurrency ke nuksan,what is cryptocurrency?, |
Cryptocurrency kya hai?/what is cryptocurrency?
Dosto sbsse pehle mai aap sabhi ko currency ka matlab samjhana chahunga.
Currency ko ham log mudra ke naam se bhi jante hai. Iske duwara hi ham kisi bhi vastu ka len-den karte hai. Jaise dusre bhasa me kahaa jaye to “kisi bhi chij ya vastu ke len aur den me ki gai eikai ka prayog hi currency kahlata hai.”
Aur Alag alag desho me isko alag naam se bhi jana jata hai. Jaise me :- USA me Dollar, India-Rupees , Europe – Euro ke naam se bhi jana jata hai.
To currency ke baad ham sidha apsb ko Cryptocurrency kya hai yhi batana chahunga. To chaliye phir jaan lete hai.
“Cryptocurrency ek prakar ki Digital Currency hota hai. Jis par Government ka koi hastkshep nhi hota yaani isme government koi rok tok nahi lagayegi. Kyoki ye Decentralized currency hai. Iski kimat ghatati aur badhati rahti hai.
Iska istemaal ham saman kharidne se lekar koi service me kaam kar satke hai. Isme ek jagah se dusre place par currency ko transfer kiyaja sakta hai. Isme aap asani se paise ko chupa bhi sakte hai.”
Abu pare ke hints se aap ye bilkul sajh hi gye hai ki cryptocurrency kya hota hai. Lekin ab rahi baat ki ye kaam kaise karti hai. To chaliye iske bare me bhi jaaan lete hai.
Simple word me bola jaye ki crypto currency kaam kaise karti hai to ye online kaam karti hai aap iske paise ko apne haato me nhi rakh sakte hai. Mtlb aap online work jaise kisi chij ko shopping me aap apne crypto account se paise pay kar sakte hai. Bilkul credit card ki tarah. Aur aap ek account se dusre account me currency ko transfer bhi kar sakte hai.
Crypto currency ke coin hote hai jo bahut hi sundar dekhne me lagta hai. Isko alag-alag company ke duwara banaya jata hai.
“Cryptocurrency- david charm naam ke ek aadmi ne 1983 me aisei currency ke bare me socha jo online cash ki tarha ho gya . aur digicash naam ke jariye currency ko laya.”
Cryptocurrency ke fayde/ Benefits of Cryptocurrency
1. Cryptocurrency me fraud ka bhut hi kam chance hote hai.
2.Cryptocurrency normal digital pement se jyada secure hoti hai.
3. Isme aapko transfer karne ke charge bhi bahut kam lagte hai. Maanlo aapko bahut jyada payment karni hai to aap Cryptocurrency ke duwara hi apni transfer kare. Isme transaction fees aapke credit card se bahut kam hoti hai. Isliy isk istemal sabse jyada kiya jata hai.
4. Isme aapke account ko hack kare ya hone ki chances bhi naa ke barabar hote hai. Kyoki isme special type ki security ka istemal kiya jata hai.
Cryptocurrency ke loss/Loss of Cryptocurrency
1. Cryptocurrency ka sbse bada nukasan yah hai, ki agar man l0 aap kisi ko ek baar payment kar dete hai ya galti se apse kai payment ho jati hai. To aap us payment ko bhi reverse nhi kar sakte hai.2. Agar aapka wallet ke ID bhul jati hai , yaa company aapke wallet ka block kar deti hai to aap iski shikayat nhi kar sakte hai.
Cryptocurrency ke Prakar /Types of cryptocurrency
Waise to kai currencies hai jo ki online istemal ki jaati hai. Prantu kuch aise currencies hai jo world wide bahut jayada famous hai.
1. Bitcoin(BTC)
2. Ethereum (ETH)
3. Litecoin(LTC)
4. Dogecoin(Doge)
5. Fair coin(FAIR)
6. Dash(DASH)
7. Peercoin(PPC)
8. Ripple(XRP)
9. Monero(XMR)
10. Ripple(XRP)
Asha hai ki aap sabhi ko Cryptocurrency kya hai? Cryptocurrency ke Fayde Aur Loss. smjh me aagai hogi . To dosto is post ko share kare. taki sabko cryptocurrency ke baare pata chale.
إرسال تعليق