What is a blog ? All Important point,Blog kya hai. | surf xtra tech

What is a blog ? All Important point,Blog kya hai:-Hello dosto jaisa ki main aap sabhi logo ko blogging ke bare me batane jaa raha hu jo ki aap sabhi logo ke Liye bahut hi labhkari hai.  Dosto blog ek bahut hi sandaar platform hain. Chahe wo student ho , yaa phir workers ho yaa teachers ho.

Ab mai aap sabhi ko batana chahunga ki blog  kya hai or what is blog ? aur blog se kya fayda hain . blogging kaise karte hain.  

To chaliye phir ham aap sabhi ko bata hi de ki ye blog kya hai ? aur isko karne se kya fayde hain.

What is a blog ? All Important point,Blog kya hai. | surf xtra tech
What is a blog ? All Important point,Blog kya hai. | surf xtra tech


What is blog? Or Blog kya hain ,All Important point

Jaisa ki aap sabhi log jante hain. Ki nya nya chij ko samjhana bahut hi kathin hota hain. Aur agar whi chij achhi lagne lage to aap usme interest lene lagte ho.

Usi tarah ham blog  ki baat kare to ye word ek anjaan word ki tarh hi  hain. Lekin isko smjhne ke  baad aapki ninde udjayengi. Aap bloging ke master hone ki sochne logoge.  To chaliye dosto blogging kya hain ? iske bare me sari baate jaan lete hain. 

Blog ek English word hain , jo weblog  word ka rup hain. Weblog word 1997 me jorn barger ne diya  tha. Jise aage chalkar 1999 me peter merholz ne iska naam blog rakha. Jo  aaj  es naam se famous hain.

Aur hindi bhasha me blog ko chhita kaha gya hain. Jise hindi me chittakaraa yaani indian blogger alok kumar ke dwaara kiya gya tha. Ab internet par hindi me prachalit hain.  Inke duwara hindi me pahala chittaa 2 gyarah (2 eleven ) likha gya tha.. ”

Dosto upar ki sari baate padhene ke baad aap sabhi log samjha hi gye honge ki ye post aap sabhi logo ke liye kitana important hone wala hai.
 To padhte rahiye aage blog ki sari baaate . 

What is Blogging and Blogger 

Blogging

Sidhe sabdo me kaha jaye to – “blogging ek aisa madhayam hain. Jiske  tahat hm jankariyo aur articles ko maintain kar sakte hain Isi process ko blogging kahte hain”. 

Ye blog or blogging ko aap sabhi log kisi bhi sabdo me likh skte hain.  Aaj ek yug me ye blogging sabse bada online work  hain. Aur aap online earning ka sabse achha shrot(source) bhi hain. 

Blogger 

Ab aap samjh hi gye hain honege ki blog aur blogging kya tha. Lekin ke aur topic hain blogger iske bhi bare me jaana jaruri hain. Kyo ki ye harek blogging karene waale ke liye important hain.

Blogger vah vyakti ko kahte hain. Jo apna khud ka blog likhta hain. Aur use apne website ya phir blog par post karna ya dalta hain. Blogger ka hota  hain achhe topic par article likh kar logo tak sahi jankariyo ko pahuchana  aur unke sath share karna ”.   

Ab dosto jaisa ki hamne aap sabhi ko ye bhi bata hi diya ki blogger kya hota hai or what is blogger , what is blog , aur what is blogging . ye topic ko maine upar me aap sabhi ko define kar diya hain. 

Ab  ham aap sabhi logo ko blogging ke fayde ke bare me batane waale hain. To padhte rahiye  aage ki aap blogging se kaise paise kama sakte hain. 

what is the Advantages of Blog (Blog banana ke fayde) 

Dosto internet ki madad se aaj kal  log apni baato ko blog ya website par post karke aap sbhi logo tak pahuchte hain. Jaise ki maine ye post ko likh ke aap sabhi ko apne blog “SURF XTRA TECH” ki madad se pahuchata hu.

To  dosto chaliye jaan lete hain ki blog banana ke kya-kya fayde hote hain.

1.    Blog par article likh ke ham ya aap apne feelings ko logo to tak share kar sakte hain.
2.    Blog me articles ko  kikhke paise kama sakte hain.
3.    Blog ki madad se hi apni ek unique pahchan bhi bana sakte hai.
4.    Blog ki madad se aap logo ko kuch  sikha bhi sakte hain. Aur sikh bhi sakte hai.
5.    Aur blog ko ham log kisi bhi bhasa (languages) me likh sakte hain. 

Ab aap jaan hi gye honge ki blog kitan important hain hmlogo ke liye . to jaruru  aap bhi soch rhe honge ki blog kaise bana jaye. To dosto mai aap sabhi ko kuch  baate share karne waala hu,  blog ke bare me jisse aap bhi blog ya website bana skte hain.

Dosto blog  2 type ka hota hain. Ek free  ka blog aur premimum blog yani ki paise wala blog .

Mai kuch free blog ke naam aap sabhi logo ko baata de raha hu jispe aap bana khud ka blog ka bana sakte hain. Aur paise bhi earning kar skte hain.

1.Blogspot:- Blogger ek free ki sewa hain . jo google ka product hain. Iskpe aap apna account banakar article likh  sakte hain. Yaha aap ko sab facilities free me di jati hai..

Ab baat ye bhi hai ki Blogger par account kaise banaye to ye jaane ke liye yaaha click kare. 

2.Wordpress:- wordpress blogging ka bahut hi badhiya source hai. Ye free aur me aur paid  yaani paise wali  dono sewa ko deti hain. Ye ek content management system (CMS) hain. Yah 27 may 2003 ko jaari kiya gya tha . aur isko matt mullenweg aur mike little ne jari kiya thaa.

3.    Joomla :-  ye bhi ek free sewaa hain. Ye ek opne source content management system (CMS) hain . aur yah PHP Programming language me likha gya hai. Joomla 17 august 2005 ko jari kiya gya tha.

Aur bhi bahut sari website hain. Jispe aap account bana kar website ko create kar sakte hain. Jinki jankari mai anewali post me jarur dunga. Tab tak blogger banne ki taiyari kariye.

To dosto Aap sabhi log ko ye post blogger kya hai. Or what is blog, what is blogging? , aur what is blogger kaisi Lagi Hain Hame comment kar jarur bataye.  Aur apne dosto aur relatives ko share bhi kare taki aap ke sath wo es post ko padh kar kuch blogging ke bare me knowledge prapt kar sake .


Milte hain agali post me tab tak ,takecare good bye. 

Post a Comment

Previous Post Next Post